I share a love-hate relationship with Bollywood. Some days, you’ll see me dissing illogical movies like Race 3 and on other days, I would be waving the ‘I love Bollywood’ flag from high mountains. Whichever side you might be on, you have to admit, Bollywood is entertainment at its best. And we all know Filmein sirf teen cheezo ki wajah se chalti hain… entertainment, entertainment, entertainment. So, I got down to some dirty Bollywood business and listed out all the famous Bollywood dialogues that we all remember.
Table of Contents
Famouse Hindi Movie Bollywood Dialogues
Famous Romantic Bollywood Dialogues
- “Tera haath se haath chodna… tera saayon ka rukh modna… tera palat ke phir na dekhna… nahin maaf karoonga main… jab tak hai jaan, jab tak hai jaan. Tere jhoothe kasme vaadon se… tere jalte sulagte khwabon se… teri beraham duaon se… nafrat karoonga main… jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.” – Samar Anand (Shah Rukh Khan), Jab Tak Hai Jaan
- “Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai. Har modh aasan nahin hota, aur har modh pe khushi nahin hoti. Par jab hum zindagi ka saath nahin chhodte toh mohabbat ka saath kyun chhodein.” – Megha (Aishwarya Rai Bachchan), Mohabbatein
- “Mujhe humare beech ki yeh doori bohot pasand hai, agar yeh na rahe toh mujhe tumhare kareeb aane ka bahana na mile.” – Amarkanth Verma (Shah Rukh Khan), Dil Se
- “Na jaagte hue khwab dekha karo, na chaho usse jise paa na sako. Pyaar kahan kisi ka poora hota hai, pyaar ka pehla akshar adhoora hota hai.” – Radha (Priyanka Chopra), Teri Meri Kahaani
- “Chahane aur haasil karne main bohot fark hai. Pyaar sirf haasil karne ka naam nahi, pyaar dene ka naam hai.” – Prem Rafilini (Salman Khan), Hum Dil De Chuke Sanam
- “Agar tum mujhe yunhi dekhti rahi toh tumhe mujhse pyaar ho jayega.” – Sameer Rafilini (Salman Khan), Hum Dil De Chuke Sanam
- “Main aur meri tanhayi, aksar ye baatein karte hain, tum hoti to kaisa hota, tum ye kehti, tum vo kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti, tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota, main aur meri tanhayi, aksar ye baatein karte hain.” – Amit Malhotra (Amitabh Bachchan), Silsila
- “Tujhe yaad kar liya hai aayat ki tarah, ab tera zikr hoga ibadat ki tarah.” – Mastaani (Deepika Padukone), Bajirao Mastani
- “Yaad rakhna ki duniya ke kisi kone mein koi khush hai, kyun ki tum khush ho.” – Raj Mathur (Shah Rukh Khan), Chalte Chalte
- “Sau andheron mein bhi roshan ho, us haqeeqat ki talash hai. Teri dehleez pe chhod aaye, us mohabbat ki talash hai. Jhukne ki ibaadat ko toh samjhe jahaan walon, katne pe joh haasil ho, us jannat ki talash hai.” – Saba (Aishwarya Rai), Ae Dil Hai Mushkil
- “Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hue dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai. Toh main toh aapko Rab se bhi zyada pyaar karta hoon.” – Surinder Sahni (Shah Rukh Khan), Rab Ne Bana Di Jodi
- “Saason ke bina shayad kuch pal main jee sakta hun, lekin tumhare bina nahi.” – Karan Dev Singh (Aamir Khan), Mann
- “Tum ne mujhe zindagi ka sahi rasta dikhaya hai, galat aur sahi mein fark dikhaya hai. Sehna sikhaya hai, samajhna sikhaya hai, dosti nibhana sikhaya hai, aur chahna bhi.” – Aisha (Sonam Kapoor), Aisha
- “Agar yeh tujhe pyaar karti hai to ye palat ke dekhegi…palat…palat!” – Dilwale Dulhania Le Jayenge – Raj Malhotra (Shah Rukh Khan), Dilwale Dulhania Le Jayenge
- “Ek chota sa zakhm bahut gehra daag ban sakta hai. Aur ek choti si mulaqat jeevan bhar ka saath ban sakti hai.” – Arun Prasad Saxena (Rajesh Khanna), Aradhana
- “Jab koi pyaar main hota hai toh koi sahi galat nahi hota.” – Geet (Kareena Kapoor Khan), Jab We Met
- “Namaaz me woh thi, par aisa laga ki dua hamari qubool ho gayi.” – Kundan Shankar (Dhanush), Raanjhanaa
- “Pyaar toh bahut log karte hai… lekin mere jaisa pyaar koi nahi kar sakta kyun ki kisi ke paas tum joh nahi ho.” – Aman Mathur (Shah Rukh Khan), Kal Ho Naa Ho
- “Dil toh har kisi ke paas hota hai, lekin sab Dilwale nahi hote.” – Raj (Shah Rukh Khan), Dilwale
- “Sachi mohabbat zindagi main sirf ek baar hoti hai… aur jab hoti hai, toh koi bhagwan ya khuda usse nakamayab nahi hone deta.” – Veer Pratap singh (Shah Rukh Khan) Veer-Zaara
Famous Hindi Movie Bollywood Dialogues
- “Kitne aadmi the?” – Gabbar (Amjad Khan), Sholay
- “Maine tumse kitni baar kaha hai Pushpa, mujhse yeh aansoo nahi dekhe jaate. I hate tears.” – Anand Babu (Rajesh Khanna), Amar Prem
- “Hum jahan khade ho jate hai line wahi se shuru hoti hai.” – Kallu (Amitabh Bachchan), Kaalia
- “Aap ke paon dekhey, bahut haseen hain, inhen zameen par mat utariyega, maile ho jayengey.” – Salim Ahmed Khan (Raaj Kumar), Pakeezah
- “Babumoshai, zindagi aur maut uparwale ke haath hai jahanpanah. Usse na toh aap badal sakte hain na main. Hum sab toh rangmanch ki kathputhliyan hain jinki dor uparwale ki ungliyon main bandhi hain. Kab, kaun, kaise uthega yeh koi nahi bata sakta hai. Ha, ha, ha.” – Anand Saigal (Rajesh Khanna), Anand
- “Mere paas… Maa hai.” – Ravi Verma (Shashi Kapoor), Deewaar
- “Sara shehar mujhe Loin ke naam se janata hai.” – P.N Khanna (Prem Nath), Kalicharan (1976)
- “Don ko pakadna mushkil hi nahi, namumkin hai.” – Don (Amitabh Bachchan), Don
- “Anarkali, Salim ki mohabbat tumhe marne nahin degi aur hum tumhe jeene nahin denge.” – Saleem (Dilip Kumar), Mughal-e-Azam
- “Kaun kambakht bardaasht karne ko peeta hai? Main toh peeta hoon ke bas saans le saku.” – Devdas (Shah Rukh Khan), Devdas
- “Yeh bacchon ke khelne ki cheez nahi, haath kat jaye toh khoon nikal ata hain.” – Raja (Raaj Kumar), Waqt
- “Rishte mein toh hum tumhare baap hote hain, naam hai Shahenshah.” – Vijay Kumar Srivastava (Amitabh Bachchan), Shahenshah
- “Yeh haath humko de de thakur.” – Gabbar (Amjad Khan), Sholay
- “Main aaj bhi pheke hue paise nahin uthata.” – Vijay Verma (Amitabh Bachchan), Deewaar
- “Jali ko aag kehte hain, bhuji ko raakh kehte hain, jis raakh se barood bane usey Vishwanath kehte hain.” Vishwanath (Shatrughan Sinha), Vishwanath
- “Jab tak baithne ko na kaha jaye sharafat se khade raho. Yeh police station hain tumhare baap ka ghar nahi.” – Vijay Khanna (Amitabh Bachchan), Zanjeer
- “Aaj khush to bahot hoge tum.” – Vijay Verma (Amitabh Bachchan), Deewaar
- “Mogambo khush hua.” – Mogambo (Amrish Puri), Mr. India
- “Aur jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hain na, toh aadmi uthta nahi, uth jata hain.” – Govind (Sunny Deol), Damini
- “Dosti ka ek usool hai madam… no sorry, no thank you.” – Prem Choudhary (Salman Khan), Maine Pyar Kiya
- “Tareekh par tareekh, tareekh par tareekh, tareekh par tareekh, tareekh par tareekh milti rahi hain. Lekin insaaf nahi mila, My Lord, insaaf nahi mila. Mili hain toh sirf yeh tareekh.” – Govind (Sunny Deol), Damini
- “Mere Karan Arjun aayenge.” – Durga Singh (Rakhee Gulzar), Karan Arjun
- “Vijay Dinanath Chauhan. Pura naam. Baap ka naam, Dinanath Chauhan. Maa ka naam, Suhasini Chauhan. Gaon Mandwa. Umar chhattis saal, nau mahina, aath din, aur ye solva ghanta chalu hain, hain.” Vijay Dinanath Chauhan (Amitabh Bachchan), Agneepath
- “Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch haarna bhi padta hai, aur haar kar jeetnay wale ko baazigar kehte hain.” – Ajay Sharma (Shah Rukh Khan), Baazigar
- “Moochein ho to Natthulalji jaisi ho, warna na ho.” – Natthulal (Mukri), Sharaabi
- “Crime Master Gogo naam hai mera… aankhen nikaal kar gotiyaan khelta hoon main, gotiyaan.” – Crime Master Gogo (Shakti Kapoor), Andaz Apna Apna
- “Bade bade deshon mein, aisi choti choti baatein hoti rehti hai.” – Raj Malhotra (Shah Rukh Khan), Dilwale Dulhania Le Jayenge
- “Main tumhe bhool jaaon yeh ho nahin sakta, aur tum mujhe bhool jao ye main hone nahi doonga.” – Dev (Suniel Shetty), Dhadkan
- “Tera kya hoga, Kaliya?” – Gabbar (Amjad Khan), Sholay
- “Mein apni favourite hoon” – Geet (Kareena Kapoor Khan), Jab We Met
Best Bollywood Dialogues – Emotional
- “Dil se faisla karo tumhe kya karna hai, dimaag tarkeeb nikaal lega.” – Farah Ali (Anushka Sharma), Dil Dhadakne Do
- “Kabhi kabhi dosti mohabbat ki jagah le leti hai. Aur phir mohabbat ke liye jagah hi nahin rehti.” – Maya Talwar (Rani Mukherjee), Kabhi Alvida Naa Kehna
- “Mere marne se pehle… Marna nahi chahta.” – Avinash (Rajesh Khanna), Safar
- “Yaadein mithai ke dibbe ki tarah hoti hain, ek baar khule toh sirf ek tukda nahi kha paoge.” – Naina (Deepika Padukone), Yeh Jawaani Hai Deewani
- “Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante, tab tak hum dard se aur dard humse juda nahi hota.” – Ayesha (Shraddha Kapoor), Ek Villain
- “Isse badi saza kya hogi… ki jaan bhi nikaal li aur zinda bhi chhod diya.” – Raseela (Richa Chadda), Goliyon Ki Rasleela Ram-Leela
- “Har insaan sapne dekhta hai. Lekin sapne mein hichki aa jaye na, toh sapna toot jaata hai.” – Dr Vidya (Vidya Balan), Paa
- “Sapne dekhna achchi baat hai, par kahi baar unke peeche daudte daudte na apne peeche choot jaate hai.” – Aarfa (Anushka Sharma), Sultan
- “Jagada tabhi hota hai jab dard hota hai aur dard tabhi hota hai jab pyar hota hai.” – Vidya Joshi (Kangana Ranaut), Shootout At Wadala
- “Mohalle ke laundon ka pyaar aksar doctor aur engineer le jate hain. Dil chhota na kar.” Murari (Mohammed Zeeshan Ayyub), Raanjhnaa
- “Waqt rukta nahi, beet jata hai aur hum kharch ho jaate hain….Isse pehle ki main kharch ho jaun, mai apna waqt tere sath bitana chahta hoon…” – Bunny (Ranbir Kapoor), Yeh Jawaani Hai Deewani
- “Aaj… aaj ek hasi aur baant lo… aaj ek dua aur maang lo… aaj ek ansoon aur pee lo… aaj ek zindagi aur jee lo… aaj ek sapna aur dekh lo… aaj… kya pata, kal ho naa ho.” – Aman Mathur (Shah Rukh Khan), Kal Ho Naa Ho
- “Maanta hoon footpath pe sone ka haq nahi hai, par footpath gadi bhi chalane ke liye nahi hota.” – Jagdish Tyagi (Arshad Warsi), Jolly LLB
- “Maa-baap zindagi ki pedh ki jadh hain. Ped kitna hi bada ho jaye, kitna hi hara-bhara ho jaye, jadh kaatne se woh hara-bhara nahi reh sakta.” – Raj Malhotra (Amitabh Bachchan), Baghban
- “Inteqam se sirf inteqam paida hota hai.” – Gazala Meer (Tabu), Haider
- “Mere hisaab se toh ek hi kaam karta hai dharam, ya to woh insaan ko bebas banata hai ya phir aatankwadi.”- Kanji Lalji Mehta (Paresh Rawal), OMG – Oh My God!
- “Kabhi kisiko itna bhi mat darao ki darr hi khatam hojaye.” – Mary Kom (Priyanka Chopra), Mary Kom
- “Maine maut ko dekha to nahi par shayad woh bahut Khubsurat hogi. Kambakht jo bhi usse milta hain, Jeena chod deta hain…” – Somnath (Rajesh Khanna), Namak Haraam
- “Babuji ne kaha gaon chhod do… sab ne kaha Paro ko chhod do … Paro ne kaha sharab chhod do… aaj tumne keh diya haweli chhod do … ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do.” – Devdas (Shah Rukh Khan), Devdas
- “Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha… meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha.” – Arun Saxena (Ajay Devgn), Dilwale
Most Memorable Bollywood Movie Dialogues
- “Har team mein sirf ek hi gunda ho sakta hai aur is team ka gunda main hoon.” – Kabir Khan (Shah Rukh Khan), Chak De India
- “Beta, tumse na ho payega.”- Ramadhir Singh (Tigmanshu Dhulia), Gangs of Wasseypur
- “Jab hum apne aap ko achi tarah samajh lete hain… toh dusre kya sochte hai, it doesn’t matter… not at all.” – Dr Jehangir Khan (Shah Rukh Khan), Dear Zindagi
- “Ek chutki sindur ki kimmat tum kya jaano, Ramesh Babu.” – Shanti Priya (Deepika Padukone), Om Shanti Om
- “Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai … aur pyar ek baar hi hota hai.” – Rahul Khanna (Shah Rukh Khan), Kuch kuch Hota Hain
- “Rahul. Naam to suna hoga?” – Rahul (Shah Rukh Khan), Dil To Pagal Hai
- “Thappad se darr nahi lagta sahab, pyaar se lagta hai.” – Rajjo Pandey (Sonakshi Sinha), Dabangg
- “Pyaar mein junoon hai par dosti mein sukoon hai.” – Alizeh (Anushka Sharma), Ae Dil Hai Mushkil
- “Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho toh puri kainath use tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.” – Om Makhija (Shah Rukh Khan), Om Shanti Om
- “Ek baar maine commitment kardi toh phir mein apne aap ki bhi nahi sunta.” – Radhe (Salman Khan), Wanted
- “Kuch kuch hota hai, Anjali, tum nahi samjhogi.” – Rahul Khanna (Shah Rukh Khan), Kuch kuch Hota Hai
- “Mujhpe ek ehsaan karna, mujhpe koi ehsaan mat karna.” – Lovely Singh (Salman Khan), Bodyguard
- “Mujhe jungli biliyaan bahot pasand hain. I love wild cats.” – Don (Shah Rukh Khan) Don
- “Mere baarein mein itna mat sochna. Dil mein aata hoon, samajh mein nahi.” – Devi Lal Singh (Salman Khan), Kick
- “Koi dhanda chota nahi hota aur dhande se bada koi dharam nahi hota.” – Raees (Shah Rukh Khan), Raees
- “Zindagi mein teen cheezein kabhi underestimate nahi karna – I, ME and MYSELF.” – Prem Kapoor (Salman Khan), Ready
- “Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi.”- Rahul Khanna (Shah Rukh Khan), Kuch kuch Hota Hai
- “Kahin pe pahunchne ke liye kahin se nikalna bahut zaroori hota hai” – Bunny (Ranbir Kapoor), Yeh Jawaani Hai Deewani
- “Kiska jhoot, jhoot hai… kiske sach mein sach nahi… hai ki hai nahi, bas yahi sawaal hai… aur sawaal ka jawaab bhi sawaal hai” – Haider Meer (Shahid Kapoor), Haider
- “Cheete ki chaal, baaz ki nazar aur bajirao ki talvaar par sandeh nahi karte. kabhi bhi maat de sakti hain.” – Peshwa Bajirao (Ranveer Singh), Bajirao Mastani
- “Kismat badi kutti cheez hai, saali kabhi bhi palat jaati hai.” – Chandramohan Sharma (Shah Rukh Khan), Happy New Year
- “Nafrat bahut soch samajhkar karni chahiye, kyunki ek din hum bhi wahi ban jaate hai, jis se hum nafrat karte hai.” – Major Ram Prasad Sharma (Shah Rukh Khan), Main Hoon Na
- “Besharam badtameez khudgarz hota hai… par pyar toh aisa hi hota hai.” – Leela (Deepika Padukone), Goliyon Ki Rasleela Ram-Leela
- “Zindagi mein kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho toh hamesha apne dil ki suno. Aur agar dil se bhi koi jawaab na aye, To apni aankhen band karke apni maa aur baba ka naam lo… Phir dekhna, har manzil paar kar jaoge, har mushkil asan ho jaegi. Jeet tumhari hogi… Sirf tumhari…” – Rahul Raichand (Shah Rukh Khan), Kabhi Khushi Kabhie Gham
- “Rajputi kangan mein utni taakat hai jitni Rajputi talwar mein.” – Rani Padmavati (Deepika Padukone), Padmaavat
- “Main udna chahta hoon, daudna chahta hoon, girna bhi chahta hoon. Bas, rukna nahi chahta.” – Bunny (Ranbir Kapoor), Yeh Jawaani Hai Deewani
- “Aap humse hamari zindagi maang lete hum aapko khushi khushi de dete… par aapne toh humse hamara guroor cheen liya.” – Kashibai (Priyanka Chopra), Bajirao Mastani
- “Dare hue log aksar alfazon ke peeche chupte hai.” – Tahir Taliyar Khan (Shah Rukh Khan), Ae Dil Hai Mushkil
- “Bajirao ne Mastani se mohabbat ki hai aiyashi nahi.” – Peshwa Bajirao (Ranveer Singh), Bajirao Mastani
- “Jab tak hum apne inteqam se azaad nahi ho jaate… tab tak koi azaadi hum mein azaad nahi kar sakti.” – Hussain Meer (Kulbhushan Kharbanda), Haider
Famous Funny Bollywood Movie Dialogues
- “Chedi Singh! Hum tumme itne ched kar denge, ki confuse ho jaoge ki saans kaha se le, aur paade kaha se.” – Chulbul Pandey (Salman Khan), Dabangg
- “Meri mardangi ke bare mein aap gaon ki kisi bhi ladki se pooch sakte ho… report achchi milegi.” – Ram Rajadi (Ranveer Singh), Goliyon Ki Rasleela Ram-Leela
- “”Ab pyaar na hua tumhara.. UPSC ka exam ho gaya. 10 saal se pass hi nahi ho raha hai”.” – Murari (Mohammed Zeeshan Ayyub), Raanjhnaa
- “Bhagwan ke bharose na baithiye, kya pata bhagwan hamare bharose baitha ho.” Dasrath Manjhi (Nawazuddin Siddiqui), Manjhi: The Mountain Man
- “Human behaviour ke baare mein uss din humne kuch jaana. Dost fail ho jaaye toh dukh hota hai, lekin dost first aa jaaye toh zyaada dukh hota hai.” – Farhan Qureshi (R. Madhavan), 3 Idiots
- “Mussal dekha mussal … masal ke rakh doonga” – Prem Bhopali (Salman Khan), Andaz Apna Apna
- “Kanoon andha hota hai, judge nahi.” – Judge Tripathi (Saurabh Shukla), Jolly LLB
- “Risk toh Spider-man ko bhi lena padta hai… main toh phir bhi salesman hoon.” – Harpreet Singh Bedi (Ranbir Kapoor), Rocket Singh: Salesman of the Year
- “Bhabhi hogi teri aur shaadi hogi meri.” – Aman Manohar (Aamir Khan), Andaz Apna Apna
- “Agar main hero ban gaya… toh meri pehchaan bura maan jayegi”. – Shoaib Khan (Akshay Kumar), Once Upon A Time In Mumbaai Dobara
POPxo is now available in six languages: English, Hindi, Tamil, Telugu, Marathi and Bangla.
AWESOME NEWS! POPxo SHOP is now Open! Get 25% off on all the super fun mugs, phone covers, cushions, laptop sleeves, and more! Use coupon code POPXOFIRST. Online shopping for women never looked better!
This story is updated in January 2019.
You Might Like These
40 Kickass Reply When Someone Calls You Fat
Simple Ways On How To Talk With Your Guy