Entertainment
SRK Dialogues – 70 Best Shah Rukh Khan Dialogues That Prove He’s The Ultimate Badshah Of Bollywood
A close friend of Shah Rukh Khan once said that his alternate career should be of an orator. While Shah Rukh Khan is known for his charm and charisma, he is also known to be extremely badass and snarky when required. You will know all his trademark dialogues, but there is a possibility that you might have missed a few epic quips.
So, today on his 53rd birthday, we want to go back in time and remember all his amazing dialogues on and off screen. From Kuch Kuch Hota Hain to Veer Zaara to his quirky moments on Koffee with Karan, here are some of SRK’s phenomenal dialogues of all time on love, friendship, life and much more!
Also Read About Romantic dailogues of Bollywood & Hollywood
21 Most Romantic Dialogues Of SRK
19 Inspirational Dialogues Of SRK
5 Memorable Dialogues Of SRK About Friendship
15 Philosophical Dialogues Of SRK
10 Life Lessons From SRK Movies
21 Most Romantic Dialogues Of SRK
- “Dil toh har kisi ke paas hota hai, lekin sab Dilwale nahi hote.” – Dilwale
- “Sachi mohabbat zindagi main sirf ek baar hoti hai… aur jab hoti hai, toh koi bhagwan ya khuda usse nakamayab nahi hone deta.” – Veer-Zaara
- “Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai… aur pyaar bhi ek baar hota hai.” – Kuch Kuch Hota Hai
Also Read About Best Female Dialogues
- “Kuch kuch hota hai, Anjali, tum nahi samjhogi.” – Kuch Kuch Hota Hai
- “Teri aankhon ki namkeen mastiyaan, teri hansi ki beparwah gustakhiyaan, teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan, nahi bhoolunga main, jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.” – Jab Tak Hai Jaan
- “Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai. Har mod aasan nahi hota, har mod par khushi nahi hoti. Par jab hum zindagi ka saath nahi chodte, toh mohabbat ka saath kyun chode?” – Mohabbatein
- “Sometimes, a lot of us men think we are doing everything for the woman we love, but there is an aspect of a woman a man doesn’t understand.” – Shah Rukh Khan on Koffee With Karan
- “Agar yeh tujhe pyaar karti hai to ye palat ke dekhegi…palat…palat!” – Dilwale Dulhania Le Jayenge
- “Tera haath se haath chodna… tera saayon ka rukh modna… tera palat ke phir na dekhna… nahin maaf karoonga main… jab tak hai jaan, jab tak hai jaan. Tere jhoothe kasme vaadon se… tere jalte sulagte khwabon se… teri beraham duaon se… nafrat karoonga main… jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.” – Jab Tak Hai Jaan
- “Mujhe chahiye ek aisi ladki, jisse dekhte hi dil ki har aarzoo, saare khwaab, saare rang zinda ho jaaye. Abhi aisa hua nahin hai, lekin ab aisa lagta hai jaise koi andekha anjaana chehera, baadalon mein se pukaar raha hai. Pata nahin yeh baadal kab hatenge, aur kab woh pukaarne waali saamne aayegi.” – Dilwale Dulhania Le Jayenge
- “Rishtey sirf khoon se nahi hote… mohabbat se bhi bante hai.” – My Name is Khan
- “Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hue dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai. Toh main toh aapko Rab se bhi zyada pyar karta hoon.” – Rab Ne Bana Di Jodi
- “Mohabbat ke zamaane guzar gaye janaab… Ab chote mote pyaar se hi kaam chala lijiye aap.” – Kabhi Alvida Naa Kehna
- “Aisa toh nahi tha ki isse zyada khoobsurat ladki maine dekhi nahi thi… par pata nahi kyun uske chehre se meri nazar hatti nahi thi. Uski aankhein jhuki hui thi aur uski saansein tez… bohot darri hui thi woh. Uska ek baal uski daayin aankh ko pareshaan kar raha thha, woh use jhatakne ki koshish kar rahi thi par hawa tez thhi… baal wahin ka wahin. Maine uske baal hataane ke liye usse apna haath hataya aur usne ghabra ke meri taraf dekha. Hum dono ne pehli baar ek doosre ko dekha. Wo mujhe darr ke maare ghoorti rahi. Fir usne aahista apni nazar jhukaai par main use ghoorta raha.” – Veer-Zaara
- “Mujhe darr toh bahut si cheezon se lagta hai… par sabse zyada darr tumhe kho dene ke khayal se lagta hai.” – My Name is Khan
- “Pyaar toh bahut log karte hai … lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyun ki kisi ke paas tum joh nahi ho.” – Kal Ho Naa Ho
- “Nadi, nadi nahin jismein pani na ho… hawa, hawa nahi jismein ravani na ho… woh shaadi, shaadi nahi jismein prem kahani na ho.” – Pardes
- Chandarmukhi iss bhare paimane mein aur sharaab dalogi to kya hoga, chalak jayega. Isi tarah Paro ke naam se bhara pada hai paiman-e-devdas bhi…aur bharogi to chalak jayega.” – Devdas
-
“Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon… aur isliye nahi ki koi aur nahi mili… par isliye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti.” – Mohabbatein
- “Koi bhi ullu ka paththa ek sirf angoothi pehna kar tumko mujhse nahi cheen sakta, tum meri ho sirf meri.” – Dilwale Dulhania Le Jayenge
- “Sachchi mohabbat ko pechaanne ke liye aankhon ki nahi… dil ki zaroorat hoti hai.” – Darr
19 Inspirational Dialogues Of SRK
- “Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki koshish ki hai. Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish main lag jaati hai.” – Om Shaanti Om
- “Kabhi kabhi jeetne ke liye kuch haarna padta hai. Aur haar ke jeetne waale ko Baazigar kehte hai.” – Baazigar
- “Waqt ke aage kisi ki nahi chalti, isliye waqt par hi chod dijiye.” – Zamaana Deewana
- “Hindi filmon ki tarah, life mein bhi, ant mein sab kuch theek ho jaata hai. Aur agar na ho, toh woh anth nahi hai…picture abhi baaki hai mere doston.” – Om Shaanti Om
- “Joker agar baazi bana sakta hai, toh joker baazi bigaad bhi sakta hai.” – Yes Boss
- “Mujhe andhera pasand hai, tumhare aane wale kal ki yaad dilata hain.” – Don 2
- “Ask not, what your company can do to you. Ask what you can do to your company.”- Shah Rukh Khan at Old Vice-Presidents’ Association, 2012
- “Sattar minute, sattar minute hai tumhare paas.” – Chak De! India
- “Yaad rakhna ki duniya ke kisi kone mein koi khush hai, kyun ki tum khush ho.” – Chalte Chalte
- “Success is not a good teacher, failure makes you humble.” – Shah Rukh Khan at Yale University, 2012
- “It’s okay to be confused. Confusion is the route to all the clarity in the world.” – Shah Rukh Khan at Edinburgh University, 2015
- “There might come a time when you feel lonely. That is when your creativity will be like your best friend.” – Shah Rukh Khan at Edinburgh University, 2015
- “As an adult, I have come to understand that there is nothing of more value than your capacity for diligence and your ability to work hard.” – Shahrukh Khan at Dhirubhai Ambani International School, 2016
- “There’s a personal me, there’s an actor me and there’s a star me.” – SRK in an interview
- “Koi dhanda chota nahi hota aur dhande se bada koi dharam nahi hota.” – Raees
- “Kabhi kabhi dil jodne ke liye, dil todna padta hai. Aur dil todke jodne vale ko… Pata nahi kya kehte hain.” – Baadshah
- “Achche insaan hamesha achche kaam karte hai.” – My Name is Khan
- “Vaar karna hai toh saamne wale ke goal par nahi, saamne wale ke dimaag par karo. Goal khud-ba-khud hojayega.” – Chak De! India
- “Gujarat ki hawa mein vyapar hai saheb… meri saans toh rok loge… lekin iss hawa ko kaise rokoge.” – Raees
5 Memorable Dialogues Of SRK About Friendship
- “Agar hai jo aap ke liye apni jaan bhi de dega.” – Veer-Zaara
- “Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi.” – Kuch Kuch Hota Hai
- “Kya tumne kabhi bhi, ek din ke liye bhi, ek pal ke liye bhi, mujhse pyar kiya tha?” – Dil Toh Pagal Hai
- “Pyaar ka pehla kadam dosti hai, aur aakhri bhi… bus beech ke kadam reh gaye hain.” – Kal Ho Naa Ho
- “Arrey tu sad hota hai na… main double sad hota hai re.” – Kabhi Haan Kabhi Na
15 Philosophical Dialogues Of SRK
- “Jinki zindagi choti hoti hai, unhe bade bade vaade nahi karne chahiye.” – Baadshah
- “Babuji ne kaha gaon chhod do… sab ne kaha Paro ko chhod do… Paro ne kaha sharab chhod do… aaj tumne keh diya haweli chhod do… ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do.” – Devdas
- “Joh sach sunna chahte hai… woh apni jeb mein pistol aur dil mein nafrat lekar nahi aate.” –Pardes
- “Kismat badi kutti cheez hai, saali kabhi bhi palat jaati hai.” – Happy New Year
- “Main inteqam ka ek aisa dahekta hua koyla hoon, jiski uthti hui aag ki lapton mein tum sabki zindagiyan aa chuki hai… aur iss jalte hue koyle ki aag mein tum sab bari-bari jalkar raakh ho jaoge.” – Koyla
- “Pyaar mein jab tak maut se na khelo… milne waali zindagi ka mazaa nahi aata.” – Karan Arjun
- “Bade bade desho main, aisi choti choti baatein hoti rehti hai.” – Dilwale Dulhaniya Le Jayenge
- “Sochkar kaun shaadi karta hai?” – Kabhi Alvida Naa Kehna
- “Beauty products se sirf chehra nikharta hai… khoobsurati nahi badhti.” – My Name is Khan
- “Connection bhi na kamal ki cheez hai, bas ho gaya toh ho gaya. Wifi Bluetooth se bhi zyada strong hai apna connection, woh sirf star nahin hai, duniya hai meri.” – Fan
- “Jab hum apne aap ko achi tarah samajh lete hain… toh dusre kya sochte hai, it doesn’t matter… not at all.” – Dear Zindagi
- “Udne ki baat parinde karte hai… tutte huye par nahi.” – Baazigar
- “Nafrat bahut soch samajhkar karni chahiye, kyunki ek din hum bhi wahi ban jaate hai, jis se hum nafrat karte hai.” – Main Hoon Na
- “Rab sabko same to same khushi nahi dete.” – Rab Ne Bana Di Jodi
- “Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai… joh saaz pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai.” – Darr
10 Life Lessons From SRK Movies
- “Whenever I start feeling too arrogant about myself, I always take a trip to the U.S. The immigration guys kick the star out of my stardom.” – Shah Rukh Khan at Yale University, 2012
- “Aaj…aaj ek hasi aur baant loon, aaj ek dua aur maang loon, Aaj ek aansoo aur pee loon, aaj ek zindagi aur jee loon… Aaj ek sapna aur dekh loon… Aaj… Kya pata kal ho na ho.” – Kal Ho Na Ho
- “Zindagi mein kuch banna ho, kuch haasil karna ho, kuch jeetna ho toh hamesha apne dil ki suno. Aur agar dil se bhi koi jawaab na aye, To apni aankhen band karke apni maa aur baba ka naam lo… Phir dekhna, har manzil paar kar jaoge, har mushkil asan ho jaegi. Jeet tumhari hogi… Sirf tumhari…” – Kabhi Khushi Kabhie Gham
- “Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho, toh puri kainaat useh tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.” – Om Shanti Om
- “Ajnabiyon ki baat sun leni chahiye… kabhi kabhi ajnabi apno se zyada jaante hain.” – Kabhi Alvida Naa Kehna
- “Tumhare paas joh hai tumhare hisaab se kam hai… lekin kisi doosre ke nazar se dekho toh tumhare paas bahut kuch hai.” – Kal Ho Naa Ho
- “Dare hue log aksar alfazon ke peeche chupte hai.” – Ae Dil Hain Mushkil
- “Yadhaash bhi kitni ajeeb cheez hoti hai… kis cheez ko poori zindagi bhoolne ki koshish karo, woh bhoolti nahi… kabhi ek choti si cheez yaad karne ki koshish karo, toh yaad nahi aati.” – Jab Tak Hain Jaan
- “Jab aadmi daulat aur taqat ki wajah se jitna bada hota jaata hai… utna hi sach aur asliyat se door hota jaata hai.” – Pardes
- “Zindagi nikalti jaati hai aur hum sab pyaar ke bina jeena seekh lete hai… kyun pyaar ko mauka nahi dete, kyun apno par vishvas nahi karte.” – Main Hoon Na
We love you, SRK! Wish you a very Happy Birthday <3
GIFs: YouTube
This Diwali, surprise your friends and family with the sweetest gifts! Check out POPxo Shop’s new Diwali range of scented candles, flavoured dry fruits and roasted makhanas. Use coupon code POPXOFIRST to get 25% off. Online shopping for women never looked better!
You Might Like This
57 Top Bollywood Songs You Must Have On Your Playlist
Read More From Entertainment
Not Laapataa Ladies! This Hindi Film Surprised Everyone By Making It To The Oscars Shortlist
Isha Jain